Saturday, 6 October 2018

Changez khan ki azeem kahani

Azim mangol fatah changez khan karib 1162 me paida hua. Is ka bap ek mamoli mangol sardar tha jis ne apne bete ka nam ek maftoh harif sardar ke nam pr “temojan” rakha. Jab temojan 9 baras ka hua us ke bap ko ek dushman qabila ke afrad ne qatal kar dya. Agle chand baras khandan ke baqya afrad ek mustaqil khatre ke tehat poshida rahe. Ye ek bad shagon agaz tha. Temojan ko ek ache din dekhne se pehle nehayat zabon halat se do char rehna para. Apni nojawani me wo harif qabile ke ek dhawe pr giraftar hua. Us ki gardan ke gird chobi halqa bandh kar use asir  rakha gya. Bechargi ki is halat se nikal kar ek qadim or banjar mulk ka nakhuwanda asir temojan dunya ke intehai taqat war insan ke tor pr ubhra.
Us ki taraqi ka agaz us asiri se farar ke bad hua. Wo apne bap ke ek dost or wahan mojud mutaliqa qabail me se ek ke sardar tagzal se ja mila. Agle kai barson tak in mangol qabail me halakat khez jangen jari rahin jin me temojan ne azmat ki taraf apna safar jari rakha. Mangolia ke qabailion ki ek waja shohrat ye hai k wo mahir ghur sawar or tandkho jangjo hain. Tarikh me hum dekhte hain k wo shumali chaina pr musalsal hamle karte rahe. Temojan se pehle mutadid qabail apni tawanaion ko ek dosre ke khilaf jang or jadal me sarf karte the. Foji dileri, munafiqat, safaki or muntazmana ahliyat ke mile jule imtazaj ke sath temojan ne un tamam qabail ko ek markazi qayadat ke tehat mutahid kar lya. 1206 me mangol sardaron ke ek ajlas me use changez khan ya “kainati shehanshah” ka khatab dya gya.
Ye foji muhib qowat jo changez khan ne mujtamam ki thi hamsaya aqwam pr charh dori. Us ne pehle shumal magrib chaina me “sehi sehya” riyasat pr or shumali chaina me “chin” saltanat pr yursh ki. Jabke ye muqabla jari tha. Changez khan or khuwarzam shah mehmod ke bich than gai jo iran or wasti asia me ek bari saltanat ka badshah tha. 1219 me changez khan apni fojon ke sath khuwrazam shah pr charh dora. Wasti asia or iran ko teho bala kar dya gya. Khuwarzam shah ki saltanat mukamal tabah ho gai. Digar mangol fojen ros pr hamla awar huin. Idhir changez khan ne afganistan or shumali hind pr dhawa bola. 1225 me wo mangolia lota jahan 1227 me wo fot hua. Apni mot se kuch hi dair pehle us ne darkhwast ki k us ke tisre bete ogdai ko us ka janshin muqarar kar dya jae. Ye ek danish mandana intekhab tha. Ogdai ne khud ko ek zahin or zaerk jangjo sabit kya. Us ki zeer qayadat mangol fojon ne chaina me paish qadmi jari rakhi. Ros ko pamal kya or age europe me nikal gaen. 1241 me mangol fojon ne jo bodapast tak barh gai thin. Poland, german or hangry ko fojon ko teh teg kya. Usi baras ogdai mar gya. Mangol fojen europe se lot ain or kabhi udhar wapas na aain.
Us ke bad janshini ke masle pr mangol sardaron me khasi le de hui. Tahum changez khan ke poton mango khan or qiblai khan ki zere sar kardgi mangol asia me dakhil hue. 1279 tak jab qiblai khan ne chaina ki fatah mukamal ki to mangolon ki saltanat tarikh ki wasi tarin saltanat ban chuki thi. Us ke zere tasalt chaina, ros or wasti asia ka elaqa tha. Is ke elawa iran or janob magribi asia ka beshtar hisa bhi shamil tha. In fojon ne poland se shumali hind tak kamyabi ke jhande ghare. Jabke koria, tib or janob mashriqi asia me qiblai khan ki badshahat qaim hui.
Us dor me mojud amdo raft ke qadim zarae ki mojudgi me aesi jasim saltanat tadair qaim nahi reh sakti thi. So jald hi ye hiso bakhron me taqsim ho gai. Tahum kai riyasaton me mangol hakumat tawil arsa tak jari rahi. 1368 me mangolon ko chaina ke beshtar hiso se kharij kar dya gya. Ros me un ke iqtadar ki umar daraz hui. Wahan changez khan ke pote bato khan ki saltanat ko bilamom “sunheri jarga” ka nam dya jata hai. Ye 16th sadi tak qaim rahi jabke karimia me ye iqtadar 1783 tak baqi raha. Changez khan ke digar beton or poton ne wasti asia or iran me saltanaten qaim kin. In dono elaqon ko 14th sadi me temorling ne fatah kya. Jo khud mangol nasal se tha or khud ko changez khan ka janshin kehlata tha. Temorling ki badshahat ka ikhtatam 15th sadi me waqo pazir hua. Lekin ye tamam mangol fatohat or iqtadar ka khatma nahi tha. Temorling ke par pote babar ne hindustan pr hamla kya or mugal (ya mangol) saltanat ki bumyad rakhi. Bilakhir mugal hukmaranon ne tamam hindustan pr qabza kya or 18th sadi ke wast tak qaim raha. Tarikh me hum aese logon ya pagal insanon ki amad tasalsul dekhte hain jinhon ne dunya ko fatah karne ki niyat bandhi or bepanah kamyabian bhi hasil kin. Un sar phiron me sikandare azam, changez khan, nepoline bona part or adolf hitler mumtaz nam hain.
  
genghis khan history in hindi

No comments:

Post a Comment