Ik insaan k lye taleem hasil karna kyun zaruri hai kya sirf nokary haasil karne k lye parhna chahiye?? kya sirf kaarobar karne k lye parhna chahiye?? Humare yahan buhat log taleem hasil to karte hain lekin sirf nokary haasil karne k ya fir kaarobar karne k ihal ban,ne k lye lekin shyd log bhool gaye hain k humaare Huzoor S A W Hazrat Muhmmad S A W ne farmaya taleem hasil karo jhoole se lakar qabar tak taleem he ik insaan ko aala makaam tak puhanchati hai tareekh gawa hai k maazi mai jitne b azeem log ho kar guzre hain wo buhat he taleem yafta the un k pas Astronomy ka ilim duniya ka ilim. ilim e najoom tha or ye waja hai k itne saalon baad bhi hum in ko aaj bhi parhte hain wo is waqt to humare beech ni lekin un ka naam shyd humesha rahega or jab tak duniya rahegi tab tak wo azeem log har ik k dil o dimag mai rahenge is baat pai Allama Iqbal ne farmaya
(Khudi ko kar buland itna k har takdeer se pehle khuda bande se khud pooche k bata teri raza kya hai) Allah ne har insaan ko kisi na kisi maqsad k lye paida kiya hai or wo hum par depend karta hai k hum apna maqsad sochen or taye karen k humara kya maqsad hona chahiye hum kya ban na pasand karenge or koi maqsad soch kar fir usi maqsad k lye tayar ho jayen or mehnat karne mai masroof ho jayen or duniya ko dikha den k hum kisi kamyab logon se kam ni hain or hume chahiye k hum taleem haasil karen sirf is lye ni k hume nokary karni hai hume taleem haasil karni chahiye kyun k hume Qabil ban na hai hume duniya ki maloomat hasil karni hai maazi mai kya hua ab kya ho raha hai sab kuch yaane k hume Knowledge hasil karni hai Allama Iqbal ne farmaya
(Manzil ki raahon mai kyun bhatak raha hai raahi tu itna azeem ho ja k manzil khud tujhe chune) To hume parhna hai kamyab hone k lye ni Qabil hone k lye kyun k agar hum qaabil ban jayenge to kamyabi khud hume chunegi or jab hum qabil ban jayenge to kamyabi khud humare qadam chumegi
No comments:
Post a Comment